aayne ke saamne khade hokar, apne aansuo me kuch yuh bah gaya,
uski yaado ke safar me, ab main tanha naa raha,
nikal aate hai aansu, jab kadvi yaadein meethi lagti hai,
de jaate hai thandak, jab baichain dil tadap uthta hai,
yeh mere jo armaan hai, sirf unn aansuo ko dekh kar hai aate,
tab maine socha agar tute dilo ko aansu sahara naa dete, toh kaun deta.

meri aankhon me dard me hai kuch aisa, ki jamana mujhe aashiq kehta hai,
mere dil se nikle lafz hai kuch aise, ki jamana mujhe shayar keh deta hai,
mohabbat bana deti hai, mastaano ko deewaana,
toh mujh jaiso ko deewano ki pankti  me khada kar deti hai,